Song Name: Ankhon Mein Neendein
Film/Album: We Are Family
Singer(s): Rahat Fateh Ali Khan, Shreya Ghoshal & Shankar
Music Director: Shankar, Ehsaan & Loy
Lyricist: Irshad Kamil
Ankhon Mein Neendein Song lyrics :
Aankhon mein neendein, neendon mein sapne
Sapno mein baatein teri meri
Baaton mein shaukhi, shaukhi mein vaade
Vaade saugaatein teri meri
Ab na tootenge vaade kabhi
Aur na tootengi jo kasam khaye hum aankhon se pyaar ki
Hoti zara chaahat sada yeh sarphiri
Aankhon se ho aankhon pe yeh jadoo-gari
Hoti zara chaahat sada yeh sarphiri
Aankhon se ho aankhon pe yeh jadoo-gari
Baat na kisi se saya bhi tera
Kaajal jahan wahan tera basera
Ho aaye jaye suraj chaahe jahaan mein
Tera bina mera ho na savera
Tere kaandhe pe hi lagey, jannat jaisi koi jageh
Ab na rab se gila, tu hai mila
Ab na rab se gila hai ghata, aur mita saara yeh faasla
Hoti zara chaahat sada yeh sarphiri
Aankhon se ho aankhon pe yeh jadoo-gari
Hoti zara chaahat sada yeh sarphiri
Aankhon se ho aankhon pe yeh jadoo-gari
Haathon mein mere teri lakeerein
Meri saari saansein teri jageerein
Dede chaahe koi saara zamana
Badle mein doon na teri tasveerein
Tere hone se hi main hoon
Main thi, main hoon, tu hi main hoon
Tujh pe main hoon fida, mujhpe khuda
Tujh pe main hoon fida, ab tujhe kar na doon sajda mein yun adaa
Hoti zara chaahat sada yeh sarphiri
Aankhon se ho aankhon pe yeh jadoo-gari
Hoti zara chaahat sada yeh sarphiri
Aankhon se ho aankhon pe yeh jadoo-gari
Song Name: Reham O Karam
Film/Album: We Are Family
Singer(s): Vishal Dadlani & Shankar Mahadevan
Music Director: Shankar, Ehsaan & Loy
Lyricist: Irshad Kamil
Reham O Karam Song Lyrics :
Aaj phir din hua, phir armaan jagne lagey
Chahatein uthi nayi, lo seenay mein benaam si
Khwaahishein dabi hui, kayi dil mein kayi
Kya hua kyun bhala, dil mazaaron se ho gaye
Reham o karam ho jaaye dobara
Reham o karam ho jaane do ishaara
Reham o karam ho jaaye dobara
Reham o karam ho jaane do khudara
Tere bina sardi mein woh garmi si na rahi
Na garmi mein hai tere pyaar ki thandak
Hoo tere bina badle saare mausam kyun iss tarah
Kuch bolo, lab kholo, do yeh bata
Taras gayi, baras gayi ab yeh nazar
De do mujhe zindagi nayi
Reham o karam ho jaaye dobara
Reham o karam ho jaane do ishaara
Reham o karam ho jaaye dobara
Reham o karam ho jaane do khudara
Dekhun na, tere bina aaj lagun tanha main
Jaise hoon, toota hua waqt se ek lamha main
Hoo aake tu mana le, hass le hassa le
Rootha rootha jee na paunga
Yaadein sabhi yeh poonchein har ghadi
Tere kyun hain bata aansu chalke
Reham o karam ho jaaye dobara
Reham o karam ho jaane do ishaara
Reham o karam ho jaaye dobara
Reham o karam ho jaane do khudara
Song Name: Hamesha & Forever
Film/Album: We Are Family
Singer(s): Sonu Nigam & Shreya Ghoshal
Music Director: Shankar, Ehsaan & Loy
Lyricist: Irshad Kamil
Hamesha & Forever Song lyrics :
Hum hanse toh hansa haule se tera sara jahaan
Tu agar hai yahaan toh hai yeh agan bhi gulistaan
Saaya tere hum sabhi, rahe dil mein ab teri har baat bhi
Hamesha & forever, jab tak saanson ka saath hai
Hamesha & forever, jab tak taaron ki raat hai
Hamesha & forever, tab tak teri hi baat hai
Hamesha & forever dil mein tu
Pyaar main de na paaya utna tujhe jitna tera haqq tha
Thi yeh khata par hoti nahi, mera kaha mujhpe bas tha
Aansu tere, parchaye mere, kaise banoo teri yeh ab dawa
Hamesha & forever, jab tak saanson ka saath hai
Hamesha & forever, jab tak taaron ki raat hai
Hamesha & forever, tab tak teri hi baat hai
Hamesha & forever dil mein tu
Yaad mein itna rakhna ke woh ho phaasle, rehna lagg ke tum gale
Batla doongi main raasta, jab hongi raaste mein mushkilein
Akkhiyon se keh doon roye na woh, inn aankhon mein bas khushiyan hi khilein
( Hamesha & forever, jab tak saanson ka saath hai
Hamesha & forever, jab tak taaron ki raat hai
Hamesha & forever, tab tak teri hi baat hai
Hamesha & forever dil mein tu ) - 3 times
No comments:
Post a Comment